Zubaida Tariq Tips In Urdu
Source:- Google.com.pk
Kaprun K Dhaag Dhabbay Saaf Kerna
Perfeum ya ittar ka daagh cloths per parjae to is say tatree mal kar wash karlain. Kajal ke seyahee kay daagh cloths per lag jae to satl laga kae wash karlain. Gulaab kay phool kay dhabbay dor karnay kay liye pehlay corn flour geela kar kay dhabbay kay upper lagain. jb dry ho jae to dhabbay ko mal kar lemon ka juice aur namak laga kar kisi bhi washing powder aur garam pani say wash kar lain.
Agar cloths per zung kay dhabbay lag gae ho to is per thori dair lemon ka juice ya sirka laga kar chor dain. bad mein wash karlain agr zarorat mehsoos ho to ye ammal dobara karin. Black ink kay daagh kay upper timatar malin aur washing powder say wash kar kay press karlain. Blue ink kay daagh per milk aur lemon ka juice lagain pher wash kar kay press karlain. Ballpoint kay neshan per haree mirch lagain. pher wash kar kay press karlain. Hair spray say ballpoint kay neshan saaf ho jatay hain. Oil paint kay neshan dry honay pehlay thiner say saaf kar lain. thiner ko achi tarhan paint per malin takay paint soft ho kar nekal jae. pher is ko taeez detergent say wash kar lain. Distumber dry honay say pehlay thanday pani mein dip kardain. pher taeez detergent say wash karlain.
Ketchup, chocolate , coco , make up kay daagh dor karnay kay liye dhabbay ko pehlay kisi achay kisam kay taeez liquid detergent say saaf karlain. is say dhabbay ke chiknai saaf ho jae ge. pher pani mein bleach mila kar dhabbay ka neshan saaf karlain. bleach kay use karnay say pehlay cloth kay kisi choppa howay hissay per laga kar yaqeen karlain kay cloth ka colour kharab nahe hota. Blood kay dhabbay saaf karnay hon to cloth ko thanday pani mein dip kardain. pher dhabbay kay upper boorek powder ya amonia aur glessren laga kar 10 min bad wash karlain. Cloths ya bedsheet waghaira per tea ya cold drink gir jae to foran salt dal kar ice mal dain pher wash kar kay press karlain dhabbay khatam ho jae gay. Tea,coffee aur juice kay neshan soap say na wash karin. sirf detergent use karin. agr foree tor per waash karna mumkin na ho to paper ya dry cloth mein jazb kar kay gelay saaf kapray say saaf karlain.
Garam kapron kay chiknai kay daagh per dahee laga kar saaf karlain. dhabbay saaf ho jae gay. Lipstick kay neshan per hair spray ka chirkaao karin aur is peer kapray dhonay kay soap ka jhaag lagain aur pher washing powder say wash kar kay foren press karlain. Kapray per silaai kartay waqt jo neshan lagaya jata hay is ko dor karnay kay liye pani taeez garam karin jb bhaap nikalnay lagay to neshan ko samnay rakh kar bhaap dain jis say neshan khatam ho jae ga. Agar jaldi mein chiknai ka daagh saaf karna ho to is per baby powder mal kar press karlain. daagh agr bilkul saaf nahe to halka ho jae ga.
Agar resturant mein kapron per kuch gir jae to nepkin ko soda mein dip kar kay neshan saaf karlain.
New jeans ko soft karnay kay liye is ko kai martaba wash karin ya pher 1 chotay taslay mein thanda pani aur fabric softner dal kar 12 hours kay liye dip kar dain. new jeans ko hamesha ulta kar kay wash karin takay colour na kharab ho.
Bartan Saaf Karnay K Tareeqa
Baking dish mein taam cheeni kay bartan saaf karnay kay liye bartan half hour kay liye soap milay howay garam pani mein bhigo dain phir salt aur baking soda mila kar manjh lain chammak jaen gay. Jab bartan jal jae to buhat sara salt dal kar pani dal dain. 3 ya 4 hours kay bad salt aur powder mila kar saaf kar lain. aagr pateli ziyada jali howe ho to salt dal kar taqreeban 8 se 10 hours tak kay liye rakhain. Silver kay kantay ko ander kinaron tak saaf karnay kay liye kisi rope mein silver polish laga kar us say saaf Karen. Plastic kay bartano per zara sa salt aur sirka mila kar saaf karen to dhabbay dor ho jaen gay.
Plastic kay bartano ke pelahaat dor karanay kay liye bartano mein mitha soda laga kar plastic ke thailee mein 1 hour kay liye band kar kay rakh dain pahr lemon aur sirkay se dhoo lain. Plastic kay bartano say haaldi kay dhabbay dor karnay kay liye baisan say raggar kar dhoen. Brass kay bartan chamkanay kay liye thori se immli ka pani pakkain phir is mein soft sand mila kar bartano per lagain aur thori dair kay liye choor dain bad mein manjh kar saaf kar lian chammak jaen gay. Brass aur copper ko saaf kar nay kay liye half piyale sirkay mein 1 table spoon salt dal dain aur bartan per laga kar cloth say saaf kar lain. Alumunium kay bartan mein chammak lanay kay liye aur dhabbon ko khatam kar nay kay liye 2 table spoon cream of tarter 1 litre pani kay sath bartan mein dal kar ubbal lain.
No comments:
Post a Comment