Fitness Tips In Urdu Definition
Source:- Google.com.pk
insani sehet aur fitness k liye behad ehmiyyat ki hamil hai – Koi bhi shaksh, mard ya aurat, iski importance se inkar nahin kar sakta. Sabhi exercise karna chahte hain magar baaz oqat munasib guidance nahin mil pati. Zail main hum kuch exercise tips Urdu main pesh kar rehe hain, ummeed hai apko pasand aaen gee.
Excerise and Workout Tips:
Aap jo bhi exercise shuru karen, uss main baqaedgi ikhteyar karen.
Haftey main 5, 6 din 20-30 minutes ki sair sab se behtreen aur asaan exercise hai. Agar aap iss ko apna lain tu phir apko kisi doosri exercise ki zaroorat bohat kam reh jati hai
Agar aap pehli dafa ya dair ke baad exercise start kar rahi hain tu exercise ka duraniya ahista ahista barhaen.
Agar exercise main dil na lag rah ho, tu koi goals mukarar kar lain . Aur jab woh goal hasil kar lain tu apne aap ko kuch reward den. Jaise ke exercise ke baad koi man pasand cheez khana ya dost ke ghar tak walk etc.
Baaz oqat akele exercise karte howy boriyyat hoti hai. Aisee soorat main apni kisi aisee dost ke sath exercise ka program banaya ja sakta hai ho khud bhi exercise karna chahti ho
Agar exercise ke liye koi eledah jaga ya equipment jaisa ke boots etc. mayasar nahin tu issy bahana na banaen, balke ghar main kamre ke andar bhi exercise ki ja sakti hai.
Woh exercise karen jo apko pasand ho . Khushgawar mood main exercise Karen, na k saza samjh kar
Exercise ke liye behtareen waqt subah ka hai, aur behtareen jagah khuli fiza. Exercise karte howe lambay sans lena bhi mofeed hota hai.
Exceise ke fawaed ke baray main parhti rahen, yeh apko motivate rakhe ga
Kabhi himmat na harain. Agar kabhi exercise na kar saken, tu issy apne par sawar na Karen, balke jab dobara moqa milay tu phir se routine start kar den.
Bilkul khali pait exercise na karen. Agar pait bilkul khali ho tu exercise shuru karne se pehle kuch thora bohat kha lain.
Hamari excercise k liye akhri tip yeh hai k exercise ke duran ya aakhir per pani peyen kiun ke exercise k baad jism main pani ki kammi ho jati hai.
Excerise karne se aap motapay ka shikar bhi nahin hote (jo kai bemariyon ki jarr hai) aur apka kam karne stamina ya salahiyat bhi barhta hai neez apka jism mazboot hota hai. Excerise k bohat se fawaid hain, lehaza kal ka intezar na keejeye , aaj hi se kuch na kuch excercise start kar den.
keh sehat aik naimat hai aur aam taur per kaha janay wala maqoola “jan hai tou jahan hai” bhi kisi taur galat nahi. Achi sehat na sirf aapki roz marrah ki routine mein achay asraat daalti hai balkay apkay kaam, naukri, karobaar, perhai, gharelo zimmadariyon wagaira ko bhi achay tareeqay say anjaam dainay mein madad gar sabit hoti hai. Kuch log samajhtay hain keh gosht aur muraggan ghiza ka istemal achi sehat ka zamin hota hai. Mager aisa hergiz nahi hai. Mutawazin ghiza achi sehat ki zamin hai aur apko bohut say sehat ka masail ka shikaar honay say bachti hai.
Iss tehreer mein hum apko kuch zaroori aur basic health tips ka baray mein batain gay jo na sirf asaan aur sehat baksh hain. Aur Urdu mein honay ki wajah say ziada say ziada log inn ko samajh sakain gay aur amal bhi ker sakain gay.
Rozana 8 say 12 glass paani peeain. Yeh bay had zaroori hai. Paani na sirf apkay jism ki pani ki zaroorat poori kerta hai balkay nizam e hazm aur jism say gair zaroori ajza ki safaii kay kaam bhi aata hai.
Rozana khanay mein kum say kum 2 sabziyaan istemaal karain. Chahain tou paka ker ya ubaal ker khain ya dil chahay tou salad mein istemaal karain.
Rozana koi aik fruit yani phal bhi khain.
Apnay din ka aaghaz neem garam paani mein lemoon k chund qatray mila ker karain. Yah nihayat sehat afza mashroob hai. Na sirf faltoo charbi ko pighlanay mein madad kerta hai balkay neem garam paani ha istemaal sehat baksh bhi hota hai.
Hamesha taaza fruits aur sabziyaan istemaal karain. Frozen fruits, sabziyaan ya beans ka istemaal sehat baksh nahi hota. Taza ajza na sirf sehat kay liye achay hotay hain balkay yeh zaiqa mein bhi ziada achay hotay hain. Refrigerated aur bacha hoa khana wagaira ka istemaal na he kia jaye tou acha hai.
Apni khoraak say tamaam fried cheezain nikal dain. Bohut ziada mirch masalay daar aur tali hoi cheezain sehat kharab kerti hain.
Ager aap coffee kay shoqeen hain tou koshish karain is ski jagha koi fresh fruit juice ka istemaal karain. Coffee kay muqablay mein yeh juice ziada faida mund aur sehat afzaa hai.
Khanay mein namak ka istemaal munasib karain. Ziada istemaal sehat kay liye nuqsaan deh hai.
Rozana walk ya exercise ki routine bnaain aur iss per amal bhi karain. Yeh nihayat zaroori amal hai. Sehat pe bohut achay asraat murattab kerta hai.
Neend poori karain. Neend ki kami sehat kay liye achi nahi hoti. Iss liye kum say kum 7 ya 8 ghanatay raat ki neend bohut zaroori hai.
Acha sochain. Buray khayalat, manfi soch, larai jhagra wagaira say khud ko door rakhain.
Koshish karain keh ghiza mein tawazun barqaraar rahay. Her qisam ki ghiza yaani doodh, anday, chawal, gandum, sabziyan, phul, daalain, aur gosht ka mutnasib istemal sehat afza hota hai.
Apnay jism kay tamam ajza ka khayaal rakhnay kay sath sath daantoon ki safai ka bhi khas khayaal rakhain. Kiyun kay jadeed research kay mutabiq daantoon ki safaai aur hifazat kernay say sehat per achay asraat murattab hotay hain.
Zindagi mein tawazun barqaraar rakhain. Kaam, ghar, dost aur khandaan kay sath braber time guzrain aur tawazun qaim rakhnay ki koshish karain.
Khailoon mein hissa lain aur active rahain.
Cigarette noshi aur alcohol say perhaiz karain.
Jitna mumkin ho apni zindagi ko asaan bnaain aur sehat mund rahain
Inn tamam urdu health tips per amal kerna apki sehat per musbat asraat murattab karay ga. Layhaaza inn ko zindagi ka hissa bnain aur sehat mund rahain.
No comments:
Post a Comment