Health Tips in Urdu Definition
Source:- Google.com.pk
Agar aap khanay mein teezi dekhatay hain to iss baat ka bohat zada imkaan hai keh aap ka shaamaar motay logun mein honay lagay. Aik jaizay sey 40 aur 50 saal ki omar ki khwateen bohat jaldi jaldi khana khahti hain, woh aista aista bohat jaldi khanay walon kay muqabalay mein motapay ka shaikar hosakti hai.
Iss sey phelay aik Japani jaizay mein yeh baat batahai jachuki hai keh teezi se halaq sey khana utharanay walon mein farba honay ka imkaan dugna hojata hai. Aik university mein iss cheez ka jaiza liya gaya. Yeh dekha gaya jo mard hazrat teezi sey khana khaha rahay thay, in mein motapay ka khatra 84 guna ziadah tha. Jab keh is qism ki khwateen mein farbhi ka indisha taqreeban dugna tha.
Aik university kay professor kehtay hain keh jab hum bohat teezi sey nowala halaq sey utharnay lagtay hain. To is sey woh mechanism jo humaray dimagh ko shakm seeri ki itlaha daita hai, muhtil hojata hai. Muqsus uzaab dimagh pouchtay hain keh maida phel raha hai. Issi duraan aik harmon jis ka naam Ghrelin hai aur jo iss waqt tayaar hota hai jab maida khaali hota hai aur dimgh ko paigham daita hai keh bhook lagae hai, lekhin jaldi jaldi khanay ki surat mein iss Harmon ki miqdar ghatnay lagti hai. Jis waqt ap khana shuru kartay hain, iss waqt dimgh tak yeh paigham pouchnay kay liyeh keh ab aap kahana band kardain kyun keh aap ka pait bhar chukka hai. Taqereeban 20 minute lagtay hain. Iss naat ko aasaan lafzon mein yun samja jasakta hai.
Jab aap teez teez khana khahtay hain to iss baat ka to iss baat ka imkaan qowi hota hai keh aap mayday mein zarorat zaidah bhar aur basya khori ka shaikar ho jaye. Unonay nay kaha keh jald baazi khanay ki adad umoman bachpan mein parti hai aur is ski wajah yeh hoti hai keh bachay jaldi jaldi khana khutam dinning table sey khiskna chahtay hain takay koii aur maan pasand mushguliaat ikhtiyaar karsakain. Lekhin hairan kin baat yeh hai keh bohat logun mein baloqat kay baad bhi yeh aadad pukta rehti hai.
Aik aur medical university kay research nay apni tehqeeq mein yeh bhi dekha hai keh jaldi jaldi khanay ki wajah sey mayday m,ein teezyabi ka khatra bhi bahr jata hai. Unonay dekha keh 690 Calories wali ghiza 30 minute kay bajaye 5 minute mein khutam karnay sey teezyabi maday ki aatoon sey mayday ki taraf wapsi kay 50 fesed zaidah imkanaat hotay hain kyun keh ghizahi naali baray baray nawaaloon sey bahri hoti hai aur mayday mein teezyabi mada mein zaidah jamah hojatay hain. Agar zaidah teezi sey khanay ki aadad ka silsila kaii mah tak jari rahae to iss sey Gastroesophagul Reflux Disease hosakti hai. Jis mein ghizahi naali patli hojati hai, iss sey khoon risnay lagta hai ya cancer sey phelay ki surat-e-haal Barrett’s Esophagus paida hojati hai.
Teez raftaari sey khanay ki surat mein nawaloon kay sath aawa ki zaidah miqdaar nechay jari hoti hai. Jis sey ghiza haazam karnay wali naali mein takleef hoti hai. Nawala phns sakta hai. Doctor ka khena hai keh agar aap apni ghiza ko achi trah chuba kar khahaye to khana khutam karnay mein aap ko kam az kam 20 minute lagnay chahaye. Agar aap khanay kay doran yeh andaza na laga sak rahay hun to aapnay zarorat kay mutabiq khana khaha liyeha ya nahi to iss ka aik aasaan tareeqa yeh keh aap kharay hojaye, agar aap khud ko mutmian lekhin bohat zaidah bhara mehsoos na karain to samj lain keh aap nay zarorat kay mutabiq khaha liya hai.
No comments:
Post a Comment